Saturday, May 14, 2016

Bhaari hy fauje shaam par asgar hussain ka

✴✴786/92/110✴✴

✴ Bhaari hy fauje shaam par asgar hussain ka✴

🌹Tareekh likh gaya hy wo lashkar hussain ka
Aalam ko dars deta hy mimbar hussain ka

🌹Padhta namaz kiyo nahi aashiq hussain ke
Aazaa'n de chuka tujhe akbar hussain ka

🌹Quraan mit sakega zamaane se kya bhala
Jab tak sena pa hy sar e athar hussain ka

🌹Aa dekh le yazid teri haar ka maza
Elaan e fatha hota hy ghar ghar hussain ka

🌹Likhta hy sher apni jo tahzeeb chod kar
Momin nahi hy aur na wo Shayer Hussain ka

🌹Dee'n par shahid hone ka jazba hazar hy
Lashkar na dekha aisa bahattar hussain ka

🌹Fanoos ban ke kufr ka uththe agar koi
Usko zaleel karta hy dawar hussain ka

🌹Kiyokar karega jang bradar hussain ka
Bhaari hy fauje shaam par asgar hussain ka

🌹Kiyo dil gam e hussain me dhadke na hashr tak
Zeeshan ban gaya hy sukhanwar hussain ka

✍ zeeshan aazmi

No comments:

Post a Comment

Your comments are appreciated and helpful. Please give your feedback in brief.